Restaurants, cafes aur bars ke liye · Noida, Ghaziabad, Delhi NCR, Pune

Google par aapka restaurant adhoora dikhta hai? Hum poora kar dete hain.

Log khaana dhoondhte waqt sabse pehle Google dekhte hain. Menu nahi, photos purani, reviews ka jawab nahi — to customer paas wale restaurant chala jaata hai. Hum aapka Google Business Profile 2–3 ghante mein poora set kar dete hain.

  • Aapko kuch nahi karna — photos bhi hum khinch lete hain
  • Password nahi chahiye, sirf Manager access
  • 50% advance, baaki kaam dekh ke

Google Profile Setup

₹1,499 + GST, one-time

50% advance (₹750) UPI se, baaki kaam dekhne ke baad.

WhatsApp: +91 73553 52261 · GST bill milta hai

Aapko kya milega

Profile poora bharna

Naam, category, timing (chhutti ke din bhi), phone, WhatsApp, website ya menu link.

15–20 achhi photos

Khana, andar ki jagah aur bahar ka board. Hum khud khinchte hain ya aapki photos lagate hain.

Menu aur prices Google par

Aapki top dishes price ke saath, taaki customer aane se pehle dekh sake.

Pichhle 20 reviews ka jawab

Owner ke naam se, polite bhasha mein. Achhe aur bure dono reviews ka.

3 Google posts

Offer, special dish ya timing ki post, taaki profile active dikhe.

Table ka review QR card

Customer scan kare aur seedha review likhe. Print-ready design.

1 page guide

Har hafte 10 minute mein profile ko zinda kaise rakhein.

Kaise hota hai

1

Free check

WhatsApp par restaurant ka naam bhejiye. Hum bata denge profile mein kya-kya kam hai.

2

Visit aur kaam

Hum aate hain, photos lete hain aur 2–3 ghante mein profile poora karte hain.

3

Pehle–baad ka screenshot

Aap kaam dekhte hain, phir baaki payment. 7 din baad hum dobara check karte hain.

Seedhi baat: Hum "Google par No.1" ya pakke customers ka vaada nahi karte — yeh kisi ke haath mein nahi hota. Hum yeh pakka karte hain ki aapka profile poora, sahi aur active rahe.

Aksar pooche jaane wale sawaal

Kya aapko mera Google password chahiye? +

Nahi. Aap apne Google Business Profile mein humein Manager bana dete hain. Kaam ke baad aap access hata sakte hain.

Mera profile claim nahi hai ya access nahi hai. Kya hoga? +

Hum claim aur verification mein madad karte hain. Verification Google karta hai, isliye usmein kuch din lag sakte hain.

Payment kaise hota hai? +

₹1,499 + 18% GST, one-time. 50% advance UPI se, baaki kaam dekhne ke baad. GST bill milta hai.

Kitna time lagta hai? +

Visit ke din 2–3 ghante. Zyada-tar kaam usi din ho jaata hai.

Kya har mahine bhi sambhal sakte ho? +

Haan, monthly care alag se le sakte hain. Pehle setup dekhiye, phir tay kijiye.

Google Profile Setup: ₹1,499 + GST

Setup ke saath table ka QR menu 14 din free chala kar dekh sakte hain.